βKya AI Apps Aapke Phone Ki Zaati Tasaveer Aur Videos Ko Dekh Sakti Hain?
βGuzishta dino NCCIA ne AI ki madad se bohat se logon ko ΰ€ΰ€Ώΰ€°ΰ€«ΰ₯ΰ€€ΰ€Ύΰ€° kiya hai, jis ki wajah se Pakistan mein logon ke andar yeh confusion payi ja rahi hai ke kya artificial intelligence hamare phone ke andar maujood tamam tasaveer aur videos ko dekh sakta hai.
βDarasal, artificial intelligence aap ke phone ke andar maujood na hi aap ki gallery ki videos ko dekh sakta hai, na hi Snapchat ko, na Facebook ko aur na hi kisi aur aisi cheez ko khud ba khud access kar sakta hai. AI sirf un tasaveer ya videos ko dekh sakta hai jin ko aap ne backup kiya hua ho.
βMisal ke tor par, agar aap ke paas Android phone hai aur aap Google Gemini istemal kar rahe hain, ab agar aap ka Google Gemini, Google Photos ke sath connected hai, toh aap ne jitni bhi tasaveer Google Photos par backup ki hui hain, woh tasaveer aap ka Google Gemini dekh sakta hai. Un tasaveer ya videos ke andar agar koi ghair-akhlaqi mawad hai, toh us mawad ke bare mein Google Gemini NCCIA ko bata sakta hai.
βAsal baat yeh hai ke kya aap ke phone ke andar maujood AI ki application (chahe woh Gemini ho, ChatGPT ho ya Cloud AI ho) kya aap ke photo backup se connected hai? Agar aap ne apni tasaveer aur videos backup ki hui hain aur jahan aap ne backup ki hui hain (jaise Google Photos ya iCloud), aur woh AI ke software ke sath connected hain, tab AI ki aap ki tasaveer aur videos par nazar ho sakti hai.
No comments yet. Be the first to comment!